s.ec_ret@yahoo.com
shani_mirza
shaam ko subh-e-chaman yaad aaii
kis kii khushbuu-e-badan yaad aaii
chaand jab duur ufaq par duub gaya
tere lahje ki thakan yaad aaii
yaad aaye tere paikar ke khutuut
apni kotaahii-e-fann yaad aaii
jab khayaalon main koi mor aaya
tere gesuu ki shikan yaad aaii
din shuaaon se ulajhte guzraa
raat aaii to kiran yaad aaii
|
s.ec_rat@yahoo.com
shani_mirza
alone bhai nice poetry : - buhat khobsurat shair hai at;-
|